Thursday, 20 August 2015

Apni Madad Ap….



Zindagi ke pahye jis bareeqe se rail-gari ki tarhan rawan dawan hain wahin per kayi mussafir yahan aate hain aur manzil tey karte he utar jatey hain, isi tarhan kayi mushkilaat  ka samna aulad-e-Adam ko bhi karna parh rha hai. Yahan per kisi ko berozgari ne ghair rakha hai tou koi bemariyo se pareshan hai. Aameer ho ya ghareeb ksi bhi haal mai log ab khush nazar nahi aate hain. Ghareeb apni ghareebi se mar raha hai aur ameer apni dulat ki hawis se.

 Pechle dino kayi log shaded garmi k bais halak hogae, wojohaat ke paesh-e-nazar logon mai agahi ki kami ko paya gaya. Aulad-e-Adam mai shaor to bedaar hogaya lakin nagahani hadsaat se bachne ke lye koi ibtidaai tibbi imdaad ki agahi nahi di gai, jis ki waja se amwaat ki taadat hazaro mai ja phnchi. Khususan aurton ko ghar mai rehte hue ibitidai tibbi imdaad ki mamulaat hona lazmi hai take ksi bhi na-khushgawar waqiye se bacha ja sake. Road hadsaat ho ya gharelo waqiyat har surat mai malumaat hona lazmi hai. Baaz auqaat doctor tak rasai fori tor per mumkin nahi hoti jis ke bais kayi logon ko apni jaan se hath dho bethna pardhta hai. Lihaaza ibtidaai tibbi malumaat har shaks ko hona lazmi hai take aulad-e-Adam ko mehfooz aur sehat-mand zindagi mayyasar hosake.

Aurat ko sanaf-e-nazuk jese namo se munsalik kardiya jata hai jabke ek aurat he pora khandaan banati hai, ghr me reh kar hazaroon pareshaniyo ke sath hazaroon bimaryion ke elaj bhi samajdaar  aurat  ghr beth kar nikal sakti hain. Hamare muashery mai taleemki kami hai phir bhi har maa apne bache ki tibbi imdaad ke leye ksi doctor se kam nahi hai. Lihaza agar Jamey malimaat hasil hojae to ek maa, behen aur biwi ghar mai rehte hue hazaro zindagiyon ko bacha sakti hain. Hukumat ki janib se aese programs ka ineqaad karwana chahye jis mai na-gahani afaat ke sath sath bimari aur hadsaat se bachne ke leye tibbi imdaad ki malumaat faraham ki jae take aulad-e-Adam ki zindagi yun hathon se na nikal jae jis tarhan ramzan 2015 mai ane wale heat strock k duran dekha gaya.


“Allah us qoum ki madad us waqt tak nahi karta jab tak wo apni madad ap nahi karte….”

            By:
     Syeda Hareem Haider

1 comment: